3 August
Dear diary,
Mujhe laga nahi tha ke dobara tumahre pas ayungi magar shayad kal bhi akeli thi aur aaj bhi hun. Raat ke 2 baj re, bahar itta sannata hai ke bas dur khada ek insaan hi dikh paa raha hai, ek pal ko to use dekh dar gayi thi main, khair is bich jo halki si hawa chehre ko chu kar guzar rahi hai nah maano kisi ki halki aahat ka ehsaas karwa rahi ho magar shayad ab uska khyaal dard dene lagta hai, shayad had se zyada jur chuki jo hun main usse, khair baat yahan hawaayon ki ho rahi thi, pata hai hawaayon ek gehra raaz hai wo ye ke jitna wo halki bahti hai uska asar utna gehra hota hai, koi hai nahi saath mein, haan tum ho magar kami hai kisi ke kandhe ki, kisi ke do shabd ki jo shayad mumkin nahi abhi. Haan maine kho diya hai sab, khud k chain jo usse jor liya hai kyunki haal to ab kat nahi rahe. Kyun jab sab bahtar hone lagta hai to khudaya yun masle kar dete hain. Aaj bhi kuch aisa hi hua. Abhi to ghar ke tamam haal behtar ho rahe the ke aaj buri khabr nh sab barbaad kar diya. Ek main hun jo kuch kar nahi paa rahi aur ek meri soch hai jo mujhe ghere rakhi hai. Darti hun main kahin ye sab meri wajah se to nahi. Kya main manhoos hun?
Comments
Post a Comment